best cool tech gifts for your sister on this rakshabandhan under ₹500
Rakshabandhan festival me bas ab kuch hi din rah gaye hain
aur agar aap bhi apni sister ko ek cool sa gift dena chahte hain to is article
ko pura padhiyega. India me jadatar brothers apni sisters ko raksha Bandhan
gift me cash hi dete hain lakin agar aap thoda sa effort daal ke ek accha gift
dhoode aur use rakshabandhan me apni sister ko gift kare to ye unhe aur bhi
khus kar dega kyonki hum sabhi ko surprise acche lagte hain isiliye main aapko
batane wala hu top best tech gifts under ₹500 jo kafi cool aur useful hain jinme
se kuch gifts to lagbhag ₹250-350 ke hain.
1. Oreo music box
Cadbury ke taraf se aane wala oreo biscuits gifts pack with music box sabse best gift hai jo aap apni sister ko gift kar sakte hain isiliye ise maine first number par rakha hai kyonki rakshabandhan ke liye ₹500 se bhi kam ki keemat me aane wala yah gift kisi ko bhi bahut jada pasand aayega fir chahe wo bada ho ya chota. Oreo music box me aapko alag alag flavour ke biscuits mil jate hain jisme 2 packs Cadbury Oreo original creme ke hain, 2 packs Cadbury Oreo choco creme ke hain, 2 packs Cadbury Oreo strawberry creme and 1 special pack Cadbury Oreo golden vanilla creme ka hai and 1 mini music system box me mil jata hai. Music box old music player ke style me diya gaya hai. Music player ko chalane ke liye aapko biscuit ko music player ke top me rakhna hoga uske baad yah chalu ho jayega aur aap oreo ke kuch fun songs ko sun sakte hain lakin interesting baat yah hai ki aap jab biscuit ka bite lenge aur fir use music box me rakhnge to yah song ko change kar dega iske alawa aap apni voice ko bhi record karke play kar sakte hain jo ise aur bhi jada special bana deta hain.
Oreo music box limited edition gift pack hai jisse iske out
of stock hone se pehle aap ise khareed le.
2. Selfie Ring Light
Agar aap ki sister ko selfie lene ka shauk hai to selfie ring light unko bahut pasand aayegi. Selfie ring light aankho me ring effect deti hai. Marklif ki taraf se aane wali is selfie light ko aap apne smartphone me laga sakte hain jo aapki selfie me chaar chand laga dega. Is selfie light me 36 led di gayi hai jo ki kafi bright hai iske sath isme 3 brightness mode diye gaye hain jise aap apne hisab se low, medium ya high par set kar sakte hain. Iske alawa is ring light me silicon rubber lagi hui hai jisse aapke smartphone me scratch bhi nahi aayega. Is ring light ko aap mobile ke alawa bhi bahut si jagah par use kar sakte hain jaise ki laptop. Isko chalu karne ke liye aapko isme 2 AAA batteries lagani padegi.
Bahut sari ring light 32 led wali aati hain jo price me
lagbhag 36 led wali ke barabar ya jada bhi hoti hain isiliye aap neeche di hui
link se 36 led wali ring light khareed sakte hain.
3. Self stirring mug
4. 2 in 1 screen cleaner
Aaj ke samaye me sabhi ke pass smartphone hai aur smartphone
use karte time wah kafi ganda bhi ho jata hai. Isiliye 2 in 1 screen cleaner
bhi bahut hi accha aur useful gift hone wala hai. Mini duster ke jaisa dikhne
wala yah screen cleaner carry karne me bahut hi asaan hai aur aap iska use
karke apne kisi bhi electronic device me spray karke ek baar swipe karke clean
kar sakte hain.
5. Puro 5 in 1 multipurpose pen
Puro ki taraf se aane wala yah pen ek multipurpose pen hai jo rakshabandhan me gift karne ke liye kafi accha product hai. ₹500 se bhi kam ki keemat me aane wale is pen ko aap 5 different prakar se use kar sakte hain.
- Is pen me ek laser light lagi hai jise aap presentation me use kar sakte hain.
- Is pen ko aap stick ki tarah bhi use kar sakte hain kisi cheez ko point karne ke liye.
- Isme led torch bhi di gayi hai.
- Isme torch ke pass magnet laga hua hai jiska use karke aap apne desk me padi hui choti pins wagarh ko collect kar sakte hain.
- And finally ise aap ek pen ke jaise bhi use kar sakte hain.
6. Knockout Pepper Spray
Rakshabandhan ka matlab hi hota hai sisters ki raksha karna
aur aaj ke time me women ki safety ke liye yah Pepper Spray kafi accha product
hai jise aap self defence me use kar sakte hain. Knockout Pepper Spray key ring
ke sath aata hai jise aap key chain ki tarah istmaal kar skate hain. ₹500 se
bhi kam ki price me aane wala yah self defence tool bhi kafi accha gift hai.
7. Security rod
Self defence ke liye ek aur best gift hai steel rod jise aap
apne bag and car me carry kar sakte hain aur jarurat padne par ise open kar
sakte hain. Ye stick kafi jada majboot hai.
8. Earphones
Gane sunna kise pasand nahi hota aur agar aap ki sister ko
bhi gane sunna pasand hai to aap unhe ek accha earphone gift kar sakte hain
uske liye aap hamara article top 5 best earphones under ₹500 padh sakte hain ya
fir me kuch best earphones bata deta hu jo aap khareed sakte hain.
1. realme earbuds
₹500 ke budget me aane wale is earphone me aapko 11 mm ke drivers mil jate hain jo powerful bass deliver karte hain. Braided cable ke sath ye earphones mic ke sath aate hain jinme 6 months ki warranty di gayi hai.
2. Mi earphones basic
₹400 se bhi kam ki keemat me aane wale in earphones me aapko 10 mm ke drivers mil jate hain jo acche bass ke sath ek balanced sound dete hain. In earphones ki housing me metal ka istmaal kiya gaya hai. Mi earphones basic with mic 6 months ki warranty ke sath aate hain.
3. Boat BassHeads 225
Boat ki taraf se aane wale ye earphones kamaal ki build quality ke sath aate hain jinki cable tangle free hai and 3.5 mm jack bhi L shape me diya gaya hai. In earphones ka bhi bass kafi accha hai. Boat BassHeads 225 1 year ki warranty ke sath aate hain.
4. JBL C50HI
Jbl ki taraf se ane wale in earphones me aapko clear sound quality mil jati hai bass utna accha nahi hai lakin ye earphones kafi comfortable hain aur ₹500 ke andar aapko jbl ka earphone mil jata hai. Ye earphones bhi 1 year ki warranty ke sath aate hain.
9. Table lamp
Agar aapki sister ko padhne ka shauk hai to table lamp unke liye best hone wala hai. Smart one rocklight ki taraf se aane wali is table lamp me aapko 3 brightness mode dekhne ko mil jate hain. Is table lamp me ek touch sensor laga hua hai jiski madad se aap ise on-off kar sakte hain and iski brightness ko bhi control kar sakte hain. Iske alawa aap is table lamp ko apni jarurat ke hisab se curve, bend and roll bhi kar sakte hain. Iske sath isme ek usb portable light bhi free aati hai. Yah table lamp ₹500 ke budget me aati hai.
Iske alawa aap aur bhi gifts de sakte hain ₹500 ke budget me jaise
Watch
Teddy bear
Final words
Agar aap is rakshabandhan apni sisters ko cash dene ke
bajaye in gifts ko dete hain to unhe aur bhi jada pasand aayega kyonki cash to
sabhi log dete hain and cash to unhe parents bhi de dete hain but accha gift
dena badi baat hoti hai.
0 Comments